NATURE OF MOVIE-Very hearth touching
MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.
DIRECTED BY-Manish Jha
STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava
KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.
BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talash kar rahe hai aas pass ke gaav mai, lekin sab gaav ka wahi haal tha jo ki is gaav ka hai.Is movie mai basically ek baap or uske 5 bate ke bare mai bataya gaya hai.In 5 bacho mai se kisi ki bhi shadi nahi hue thi sab shadi ki kosis mai the.Baad mai unhe kahi se ek ladki mil jati hai jise yeh 5 ladko ka baap paise deke shadi ke liye raji kar leta hai.Par in ladko ka pita apne bade ladke se shadi karwana chahata hai par ladki ka pita nahi manta par baad mai wo paisa ka lalach deke apne 5 beto se hi uski shadi karwa deta hai.Ab sab log bhog mai dub jate hai or 7 din us ladki se sath sone ke liye din bant lete hai.Balki halaat yeh hai ki un ladko ka pita bhi asa karne se piche nahi hat ta yeh sab ladkiyo ki kami ke karan hua to is parkar se us ek masum ladki ka jivan narak ban gaya bus un sab 5 beto mai se ek hi sabse chota wala ladka hi us se sache man se prem karta tha baki to bus bhog ki chez samajhte the us ladki ko.Bad mai us chote bhai ko bi in 4 bhaiyo ne mar diya to us ladki ka jivan or kharab kar diya uske sath bahut hi bekar vehvahar hone laga.Us ladki ke pita ji ne bhi uske liye kuch nahi kiya wo khud paise ke lalach mai tha.Is bich bahut hi jayda taklif bhari jindagi kar di us ladki ki.Last mai usi gaav mai aapas ki ladai mai mar beth te hai yeh sab character.
BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Hum logo ki shadi wadi ho gi ki nahi....
2.10 -12 sal ki chood 80 saal ki bhudiya bhi nahi milege ....
2.10 -12 sal ki chood 80 saal ki bhudiya bhi nahi milege ....
MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yahi message milta hai ki hame ladki paida hote hi use marna nahi chaheye warna ek time as aayega ki sab imbalance ho jayega.Orato ki izat karna aana chaheye hame ,na ki unhe sirf ek bhog ki vastu samjhna chaheye.
KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha ase cases kai bar hamare samne aaye hai jaha hame yeh sab dekhne or sunane ko milta hai or aaj bhi jab koi ladki paida hoti hai to log utna kush nahi hote jitna ki ladka hone par hote hai.
MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe is movie ko dekh ke thoda ajeeb laga or baad mai asa vichar aaya ki sahi mai agar asi situation aa jaye to kya yahi hoga jo is movie mai dekhaya gaya hai.Hame samaajh mai ladke or ladki mai balance banaye rakhna padega nahi to sab kuch gadbad ho jayega.
KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Agar sahi mai hamare samaajh mai asa kuch chal raha hai jiske bare mai hame pata nahi hai to bilkul ase movies ban ni chahiye taki hum sahi mai soch sake ki is chez ka kya parbhaw pad sakta hai life mai.
AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.
THANKS FOR READING..........
Agar aapko Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……
Your article is very helpful for me. I will follow your instruction. Thank you.
ReplyDelete