Skip to main content

Anand Movie Review

 ANAND



NAME OF MOVIE-Anand

NATURE OF MOVIE-Drama emotional

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mere pass kush rahne ke liye kya hai.

DIRECTED BY-Hrishikesh Mukherjee

STARRING- Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Sumita Sanyal

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Bilkul dekhani chaheye aapko yeh movie dekh ke yeh pata chalega ki kuch log ase hote hai life mai jo har time positive rahte hai chahe koi bhi situation kyu na ho.


BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai anand nam ke ek aadmi ke bare mai bataya gaya hai jo ki life ko bahut hi positive tareke se dekhta hai.Anand ko ek bimari ho jati hai jis ka koi ilaz nahi hota,to wo baki bachi hue zindagi mumbai mai bitana chahta hai,isliye wo apne doctor dost ke pass aa jata hai or wahi apni bachi kuchi life enjoy karta hai.Rajesh ji(anand) kafi mazakiya kism ke aadmi hote hai wo jis kisi se bhi ek bar milte hai wo unka dost ban jata hai.Unko pata hota hai ki unki bimari ka koi ilaz nahi hai,isliye wo har chez jaldi dekhne ki kosis mai rahte hai.Unka vehwaar dekh ke sab log yahi sochte hai kas yeh bimari inko na hote yeh or ji pate.Inhi sab mai wo bahut achi achi bate karke dhere dhere marne ki kagar par pahuch jate hai or unke marne se sabko bahut dukh hota hai.Or yahi kahani unke dost amitabh ji ek kitab mai likh ke sab ko anand ke bare mai batana chahte hai ki kis parkar ka vaktitva tha anand ka.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Babumushoi, zindagi badi honi chahiye ... lambi nahin
2.Babumushoi, zindagi aur maut upar waale ke haath hai ... usse na toh aap badal sakte hai na main ... hum sab to rangmanch ki kathputliyan hai jinki dor upar waale ki ungliyon mein bandhi hai
3.Jab tak zinda hoon tab tak mara nahi ... jab mar gaya sala main hi nahi


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yeh sikhne ko milta hai ki hame zindagi ko positively jina chaheye.Jab tak jaan hai tab tak hasi kushi se haste hasate sabhi ke sath rahna chaheye.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha aksar zindagi mai hume kai bar ase log mil jate hai jo ki hamesa positive tareke se life ko jite hai,wo khud bhi kush rahte hai or dusro ko bhi kush karte hai apni hasi majak se.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie dekh ke bahut acha laga Rajesh ji ki acting bahut ki kamal ki hai unki bate or nature dekh ke sahi mai asa laga ki yeh character sahi mai zinda hai hamare sath hai aap jab movie dekhege to aapko bhi asa hi lagega.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha jarur ban ni chaheye ase movies se hame bahut inspiration milte hai life ko postive tareke se jine mai.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Anand Movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat