NATURE OF MOVIE-Drama emotional
MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.
DIRECTED BY-Aamir Khan
STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda
KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.
BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka bada bhai kafi intelligent hota hai har chez mai sab uski tareef karte hai or iski burai.Us bache ke pita ji pareshan ho kar use boarding school mai dal aate hai jaha us bache ka jane ka bilkul man nahi karta.Or us bache ka waha par bhi wahi haal ho jata hai har teacher usse punishment dete hai kam na karne ki waja se.Darsal bacha sirf padhai mai kamjoor hota hai, par wo duniya ko alag dhang se dekta tha.Par ek din unke school mai ek arts teacher aate hai or unhe us bache ke bare mai pata chalta hai to wo us bache ki problem samajh jate hai ki use sahi mai kuch problem hai.Wo teacher us bache ke pita ji se mil ke us bache ki problem batane jata hai par us bache ke pita ji nahi mante wo kehte hai ki bacha padhai nahi karna chahta.Us teacher ki bat uske pita ji nahi sunte to wo teacher hi us bache ki problem dur karne mai lag jata hai.Last tak wo us bache ko kafi tareke se sudhar deta hai ab wo ache marks lata hai.Bad mai uske parents bhi samajh jate hai.Wo bacha us teacher ke liye kafi emotional ho jata hai.Bus yahi sab hai movie mai kafi achi tareke se bachpana dikhaya gaya ki kis parkar bacha kai bar sahi mai kisi bimari ka sikar hota hai.
BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Duniya mein aaise aaise heere paida huye hai, jinhone sari duniya ka naksha hi badal diya ... kyun ki yeh duniya ko apni alag nazar se dekh paaye
2.Har bachche ki apni khoobi hoti hai, apni kaabiliyat hoti hai, apni chahat hoti hai
3.Patri se hatkar bahut kam log soch paate hai
.
MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yahi message milta hai ki jaruri nahi ki har bacha padhane mai kamjoor hai to wo har cheez mai hi piche ho.Har bache mai ek alag hunar hota hai jise tarash karne ki der hai as a parent yeh apka farz hai ki aap apne bacho ka hunar tarashe.
KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha asa hua hai kai mahan log ase the or hai jo academic mai bilkul ache nahi the par un logo ne wo kam kar dikhaya jo baki log nahi kar paye.
MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Muje yeh movie emotional lagi or kafi achi tareke se bacho ki duniya ke bare mai pata chala.Aajkal log bus yeh sochte hai ki kisi mahnge school mai bache ka admission kara diya to unki zimedari khatam,par asa bilkul na samjhe apne bacho ke sath thoda time spend kare unhe samajhne ki kosis kare.Bache to kache miti ke bartan ki tarha hote hai unhe sahi desha dikha ke pakane ka kam parents ka hai.
KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha banani chaheye taki hamare samaaj ko pata chale ki bacho ke jivan mai kya kya problem hoti hai.
AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.
THANKS FOR READING..........
Agar aapko Taare Zameen par Movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……
Comments
Post a Comment