Skip to main content

Hera Pheri movie Review



NAME OF MOVIE-Hera Pheri 

NATURE OF MOVIE-Comedy

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko hasne ka man kare tab.

DIRECTED BY-Priyadarshan

STARRING-Akshay kumar,Suniel shetty,Paresh Rawal,Tabu

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha agar aap koi ase movie ki talash mai hai jo aap family ke sath dekh kar enjoy karna chahate hai to yeh movie aapke liye hi bani hue hai.

BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai teen logo ki zindagi ke bare mai bataya gaya hai jo ki paise ki kami ke karan bhatak rahe hai.Suniel ji ek nokari ke talash mai aate hai par wo nokari unhe nahi mil pati unki jage ek ladki ko mil jati hai jo unse bhi jayada pareshan halat mai hai.Dusre character hai akshay ji hai wo paise kamane ki talash mai aaye hai or unhone apni maa ko jhoot bola hai ki wo ek bade engineer hai.Or tesare character hai babu bhaiya jo ki khud hi karze mai dube hue hai.Yeh sab babu bhaiya ke yaha hi rahte hi.To main story ki suruwat ek wrong number se hoti hai jis se unki life change ho jati hai wo kuch tarkeb laga ke wrong number ka fayada uthane ki kosis karte hai,inhi sab mai bahut sari comedy situation nikal ke aati hai jis ko dekh ke aapko bahut hi maza or hasi aayegi.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Yeh Baburao ka style hai
2.Kutriya saala, dekh ke number dial kar!
3.Utha le re baba, utha le ... mereko nahi re, in dono ko utha le


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yeh sikhne ko milta hai ki hame amir ban ne ke liye short cut nahi lena chaheye, or na hi kuch golmal tareka apna na chaheye.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Basically yeh to ek comedy movie hai hasane ke liye situation create ki gayi hai ,par shayad kisi ne asa kiya bhi ho.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Yeh movie dekhne ke baad mujhe bahut hasi aai,sare character ne bahut hi achi tareke se acting ki hai jis se aapko bahut hi hasi aayege.Aap yeh movie family ke sath dekh sakte hai or khub anad utha sakte hai hasne ka.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha asi movies ban ni chaheye taki hum apni tanav bhari life mai inhe dekh ke has sake.Wase bhi aajkal kisi ke chahre par hasi lana koi puneye ka kaam karne se kam nahi hai.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Hera Pheri movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review

MATRUBHOOMI: A NATION WITHOUT  WOMEN   NAME OF MOVI E -Matrubhoomi: A Nation Without Women movie   NATURE OF MOVIE-Very hearth touching  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH  mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.  DIRECTED BY-Manish Jha  STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talas