Skip to main content

Tumhari Sulu movie Review

TUMHARI SULU 


NAME OF MOVIE-Tumhari Sulu movie 

NATURE OF MOVIE-Comedy Drama 

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki ek house wife sirf soch sakti  hai par wo kam kar nahi sakti jo wo karna chahati hai.

DIRECTED BY-Suresh Triveni

STARRING-Vidya Balan,Neha Dhupia,Manav Kaul

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha agar aapko ek asi movie dekhni hai jis mai agar housewife or husband dono jab job karte hai to kis parkar ki problem aati hai asa kuch dekhna hai to jarur dekhe.


BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek aam family ko dekhaya gaya hai jis mai husband job karta hai or wife ghar ka kam.Par wo jo wife hoti hai wo job karna chahati hai wo bhi baki ladies ki tarha office jana chahati hai.Darsal yeh orat jayda padhi likhi nahi hoti par uske sapne bade hote hai wo darsal har chez hi karna chahati hai.Wo aksar har chez mai participate karti hai or jayadatar jeet ti bhi hai.Ek bar wo radio par ek competition mai cooker as a prize jeet leti hai.Jab wo waha use lene jati hai to use pata chalta hai ki Radio jockey ban ne ka chance mil raha hai to wo auditoin bhi de deti hai par waha ke log use seriously nahi lete.Par wo bar bar unhe force karke bolte hai or ek din wo phir se jati hai waha pe or select ho jati hai.Wo kafi famous ho jati hai uska show acha chalta hai,par isi bich wo apne husband or bache ko time nahi de pati jis waja se sab gadbad ho jata hai.Unke bache ko school se nikal dete hai phir uska husband or usme thodi kaha suni ho jati hai.Us ladki ke parents or sisters use yahi samjhate hai ki apni job chood de sab is job ki waja se hi ho raha hai.Phir yahi sab mai unka bacha ghar chood ke chala jata hai baad mai us ladki ko asa lagta hai ki uski waja se hi sab kuch ho raha hai or wo job chodke wapis nai chez sochti hai jis se wo kam bhi kar le or sab ko handle bhi ek housewife ki taraha.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Mai kar sakti hai madam
2.hello..


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yeh sikhne ko milta hai ki insan mai kam karne ki lagan honi chahiye ,sapna pura karne ki koi umar nahi hote.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha kai asi housewife hai jo apne gharko or apne kam dono ko bahut hi achi tareke se karti hai.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie dekh ke acha laga aam admi ki life ke bare mai bataya gaya hai.Har orat ko apne sapne pure karne ka hak hai or wo chahe to use pura kar sakte hai chahe wo housewife hi kyu na ho.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha jarur ban ni chahiye taki samaaj ke logo ko motivation milta rahe ki housewife bhi sab kam kar sakti hai.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Tumhari Sulu movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review

MATRUBHOOMI: A NATION WITHOUT  WOMEN   NAME OF MOVI E -Matrubhoomi: A Nation Without Women movie   NATURE OF MOVIE-Very hearth touching  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH  mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.  DIRECTED BY-Manish Jha  STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talas