Skip to main content

Chhoti Si Baat movie Review

CHHOTI SI BAAT



NAME OF MOVIE-Chhoti Si Baat 

NATURE OF MOVIE-Romantic comedy

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko ek purani love story dekhne ka man kare tab.Ek saaf love story dekhna chahe tab jarur dekhe.

DIRECTED BY-Basu chatterjee

STARRING-Amol palekar,Vidya sinha,Ashok kumar,Asrani,Dharmendra,Hema malini

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Agar aapko purana door or aatit ki kuch yaade dekhni hai to jarur is movie ko dekhe bahut hi achi love story hai.

BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase aadami ki kahani batai gayi hai jo ki ek ladki se pyar karta hai par wo use bata nahi pata,wo hamesa khayalo mai hi sochta rahta hai ki jab wo us se milega to yeh kahega wo kahega par asa kuch ho nahi pata.Wo us ladki se roj bus stop pe milta tha dono office jane ke liye ek hi bus stop par aate the.Wo aadmi hamesa kosis karta us se bat karne ki par nahi kar pata.Wo us ladki ka picha karta tha roj uske sath office se ghar aata jata,ladki ko bhi sab pata tha wo apni saheli se uski harkato ke bare mai roj batati.Ek din unki bat ho hi jati hai,par inki love story mai us ladki ke office ka ek ladka aa tapak ta hai wo inke bich ka kata bana hua rahta hai.Wo ladka har chez mai is pyar karne wale se  aadmi se jayda smart hota hai.Asa dekh ke us ladki mai confidence ki kami aa jati hai wo har parkar se us ladki ko pana chahta tha isi chakar mai wo kai pandito or bhawisya batane walo ke pass chakar kat ta raha par uska kam kahi nahi bana.Ek din use kisi colonel ke bare mai pata chalta hai to wo unke pass jata hai waha wo sab kuch sikh ke apne pyar ko pa leta hai.Last tak aate aate wo ladka ek sharmile ladke se ubhar kar ek confident aadmi mai tabdil ho jata hai.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Zindagi ki cricket mein draw nahi hota … ya toh jeet hoti hai ya haar … aur jeet ussi ki hoti hai joh upar hai … aur upar wahi hai joh neeche nahi hai
2.Pyar paane ke liye koi bhi tareeka najayaz nahi hai


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yahi sikhane ko milta hai ki agar pyar sacha ho to hame kuch or tarkebe lagane ki jarurat nahi hai.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha aksar log apne pyar ka ezhar karne mai sankoch karte hai weh kabhi keh hi nahi pate.Par kuch log keh dete hai to shayad unki bat ban bhi jati hai.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie achi lagi is mai bahut hi saf suthare parkar se sab kuch dikhaya gaya hai.Kai jaga comedy bhi hai,purana door yaad aa jata hai asi movies dekh ke.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha ek saf suthari romantic movie bani chaheye taki logo ko pyar ka asli matlab malub chale aajkal ki tarha nahi,jaise ki aaj eske sath kal kisi or ke sath.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Chhoti Si Baat movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review

MATRUBHOOMI: A NATION WITHOUT  WOMEN   NAME OF MOVI E -Matrubhoomi: A Nation Without Women movie   NATURE OF MOVIE-Very hearth touching  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH  mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.  DIRECTED BY-Manish Jha  STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talas