TOILET:EK PREM KATHA
- NAME OF MOVIE-Toilet
- NATURE OF MOVIE- Social message
- MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye swachta ke prati.
- DIRECTED BY-Narayan singh
- STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar
- BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahate hai par jo hamare hero ji hai unke pita ji pandit ji thode purane vichar dhara wale insan hai unhone akshay ji ki pahle bhes se shadi karai thi kyuki wo bhawisayawani kundali in sab mai viswas karte hai.Or pandit ji ka kehna tha ki akshay ji ki shadi wo us ladki se karege jis ke 2 anguthe ho.To phir akshay ji ne kisi tarha apni heroine ji ke liye nakali ka agutha banake shadi set kar hi li.To ab suru hoti hai main khahani wase to yaha tak to thik ta par ab jab Bhumi ji(heroien) ghar par aai to unhe pata nahi tha ki unke sasural pe toilet nahi hai to unko bahut bura laga.Unko yeh sab pasand nahi tha ki khule mai ya khet mai jake kiya jaye to unhone akshay ji ko kaha phir akshay ji ne temporary jugad kiya par kuch kam nahi aaya bat talak tak pahuch gayi.To phir akshay ji ne toilet banane ka beda uthaya iske liye unhone kafi sangharsh kiye or last mai unhone bana hi liya or sab gav walo ko iska fayda bhi samjha diya.
- KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha bilkul aap dekhe to sahi ki hamare desh mai ase bhi gaav hai jaha aaj bhi khule mai soch hota hai or logo ko toilet banane ke mehatav ka pata nahi hai.Is movie mai samajh ki kuch kuritiya bhi batai gayi hai ki kaise aaj bhi log andhviswas mai ji rahe hai.
- BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Aashiqo ne to aashiqui ke liye Tajmahal bana diya sala hum ek sandas na bana sake
- 2.Ab biwi wapis aaaye ya na aaye par sandas to mai lake hi choodunga iss gaav mai ...radhe..radhe
- MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hume yeh sikhne ko milta hai ki hame time ke sath change hona chaheye or hume apni or paryawaran ki swachta par dhyan dena chahiye.
- KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha bikul ho sakta hai hamara desh mai aaj bhi ase kai gav hai jaha toilet bane hue nahi hai.
- MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie achi lagi akshay ji ne jo kuch kiya bilkul sahi kiya unhe mahilawo ke izat ki chinta thi or swachta par pura dhyan tha.Bhumi ji ka role bhi acha tha unhone ek padhi likhi orat hone ke nate sabhi mahilawo ko samjhaya jo ki kafi achi bat hai.Unhone ek badlaw ki kosis ki or safal rahi. Movie majakiya bhi hai hasi bhi aayegi aap jarur dekhe.
- KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha bikul ban ni chahiye taki hume pata chale ki is samaj mai aaj bhi kitni purani cheze mani jati hai or log aandhviswas par jite hai.Inko dekh ke hum inhe dur karne ki kosis or pahal kar sakte hai.
Agar aapko Toilet movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……
Great Work! Thank u for wonderful information.
ReplyDelete