Skip to main content

Lage raho munna bhai movie Review

LAGE RAHO MUNNA BHAI



NAME OF MOVIE-Lage raho Munna bhai

NATURE OF MOVIE-Comedy with gandhi giri

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko Gandhi ji ke vicharo ko dekhne ka man kare tab.

DIRECTED BY-Rajkumar Hirani

STARRING-Sanjay Dutt,Arshad Warsi,Vidhya Balan,Boman Irani,Dilip Prabhavalkar,Dia mirza,Jimmy shergill,Kulbhushan kharbanda,Saurabh shukla

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha bilkul aapko dekhni chaheye sanjay dutt ji ne bahut hi badhiya acting ki hai or gandhi giri bhi.Arshad warsi ji ne dosti achi tarike se nibhai hai unki dosti dekhne ka maza aayega.


BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically sanjay dutt ji ko vidhya ji se pyar ho jata hai unki aawaj sun ke radio par es bare mai dekhaya gaya hai.Vidhya ji ek radio jockey hoti hai to Sanjay ji unka sab program sunte hai to ek bar ek competition hota hai jis mai gandhi ji pe quiz hota hai jo wo quiz jitega usko vidhya ji se milne ka moka milega tab sanjay ji apni taraf se pura jor laga ke quiz jit jate hai.Phir wo gandhi giri ki line mai aa jate hai.Wo itna tak kehte hai ki unko gandhi ji dekhte hai.Unhone gandhi ji ki madad se kafi aam logo ki daily problem ko solve kiya hai.Unhone sabko gandhi ji ke vicharo par chale ke liye bhi kaha hai.Isi bich sanjay je ko kafi pareshani bhi aa jati hai kyuki wo ek bhai (gangster) hote hai par wo sab kuch gandhi giri se solve karke apne pyar ko pa hi lete hai.Vidhya ji bhi sanjay ji se kafi impress ho jati hai.Movie mai bahut jayada comedy hai arshad ji ne bhi kafi acha dost hone ka character nibha ke kafi rochak bana diya movie ko.Or samaajh mai jo mangalik ladki se shadi karne par yeh ho jata hai wo ho  jata hai uske bare mai bhi dikhaya gaya hai.Kul mila ke kafi hassi se bhari movie hai.Agar aap family ke sath beth ke hasna chahate hai to yeh movie jarur dekhe.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Chaata maarna aasan hai ... maafi mangne ke liye himmat chahiye beta
2.Jab dono gaal pe padh jaye toh kya karneka ... yeh Bapu ne nahin kaha apun ko
3.Full confidence mein janeka aur ekdum vinamrata ke saath baat karneka
4.Bole toh Gandhigiri zindabad!
.


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hame yahi message milta hai ki hame ahinsa se kam lekar har chez ka solution nikal na chaheye.Maar pit gunda giri mai kuch nahi rakha.Hamesa satya ki hi jeet hoti hai.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha ho sakta hai aaj bhi hamare bich kuch ase log hai jo gandhi ji  ke vicharo ko mante hai or unhe ki bataye rasto par chalte hai.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie dekh ke kafi maza aaya sanjay ji or arshad ji ne bahut hi hasaya.Gandhi giri dekh ke bhi bahut maza aaya.Hamesa sachai ki hi jeet hoti hai bhale hi time lag jaye par satya mev jayte. 


KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha bilkul ban ni chaheye taki logo ko un mahan hastiyo ke  jivan ke vichar ka pata chale jo ki unhone apne jivan kaal mai apnaye.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Lage raho munna bhai movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Anand Movie Review

 ANAND  NAME OF MOVI E -Anand  NATURE OF MOVIE-Drama emotional  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mere pass kush rahne ke liye kya hai.  DIRECTED BY- Hrishikesh Mukherjee  STARRING-   Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Sumita Sanyal  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Bilkul dekhani chaheye aapko yeh movie dekh ke yeh pata chalega ki kuch log ase hote hai life mai jo har time positive rahte hai chahe koi bhi situation kyu na ho.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai anand nam ke ek aadmi ke bare mai bataya gaya hai jo ki life ko bahut hi positive tareke se dekhta hai.Anand ko ek bimari ho jati hai jis ka koi ilaz nahi hota,to wo baki bachi hue zindagi mumbai mai bitana chahta hai,isliye wo apne doctor dost ke pass aa jata hai or wahi apni bachi kuchi life enjoy karta hai.Rajesh ji(anand) kafi mazakiya kism ke aadmi hote hai wo jis kisi se bhi ek bar milte hai wo unka dost ban jata hai.Unko pata hota hai ki unki bimari ka ko