Skip to main content

Akele hum akele tum movie Review

AKELE HUM AKELE TUM




NAME OF MOVIE-Akele hum akele tum

NATURE OF MOVIE-Emotional attachement with child

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aakpo asa lagta hai ki sirf ek maa hi apne bache ka palan poshan kar sakti hai.

DIRECTED BY-Mansoor khan

STARRING-Aamir khan,Manisha koirala,Master Adil

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Agar aap ek pita ka pyar apne bache ke liye kitna hai or wo kya kar sakta hai uske liye asa kuch dekhna chahate hai to is movie ko jarur dekhe.Life mai sapne hi sab kuch nahi hote lagav naam ki bhi koi chez hoti hai.


BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ladke or ek ladki ke singer ban ne ke struggle ko dekhaya gaya hai.Ladka apne sapne pure karne ke liye bahut hi mehnat kar raha hota hai wahi ladki bhi wahi kar rahi hote hai.Ek din dono ki mulakat ho jati hai ,ladki ko ladke ka gana pasand aata hai or wo us se gana sikne ko kahte hai or inhi sab mai dono ko pyar ho jata hai,wo shadi kar lete hai.Dono ka sapna ek hi hota hai isiliye wo shadi karte hai or use sath pura karne ki sochte hai.Par shadi ke baad ladki ko gana gane ki fursat hi nahi milte wo ghar ke kam mai hi ulajh ke reh jati hai,jiski waja se use bahut bura lagta hai.Phir un dono ke bich mai tanav badh jata hai or ladki ghar chood ke chali jati hai halaki uska ek ladka bhi hota hai jise wo apne pati ke pass hi chood ke chali jati hai apna sapna pura karne ke liye jiski waja se us ladke ki life puri tarha disbalance ho jati hai ab uska struggle or badh jata hai.Wo ladka apne bache ki kushi ke liye sab kuch karta hai or use har chez laake deta hai.Ise bich wo ladki bahut badi heroine ban jati hai or wo ladka bus wahi tak simit rah jata hai.Phir ladki us bache ko apne pass rakhne ke liye court ki madad lete hai or wo case bhi jeet jati hai.Par us bache ka pita asa nahi chahata tha uska lagav bahut jayada hota hai ,or sab log yahi chahte the ki ladka apne pita ji ke sath hi rahe.Movie mai ek bache ka kis parkar ek pita khayal rakhta hai or log apne sapne pure karne ke liye kya kar sakte hai yahi sab bataya gaya hai.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai ... ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai
2.Hum dono ka ek hi sapna hai is se achi bat kya ho sakte hai,hum dono waha sath pahuche ge


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is movie se hume yahi sekh milti hai ke ek pita bhi apne bache se utna hi prem karta hai jitna ki ek maa us se karte hai.Hume jivan mai apne sapne pure karne chaheye par pariwar se alag hoke nahi sath rah kar.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha aajkal ki duniya mai riste nate kam hote ja rahe hai log apne sapne,career ke liye sab kuch bhul jate hai par mere dosto ek din asa aayega jab aapko apne sapne se jayada risto ki jarurat hogi,to bhalai isi mai hai ki time rahte riste or sapne dono pure ho jaye asa kuch kiya jaye.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie dekh ke kafi kuch sikhne ko mila or pata chala ki ek pita bhi apne bache ko ek maa ki tarha pal pos sakta hai.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha asi movie bilkul banani chaheye taki samaaj ke logo ko pata chale ki sapne pure karne ke chakar mai kase aksar bache ma baap ke pyar se vanchit ho jate hai jisme un bacho ki koi galati hi nahi hoti.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Akele hum akele tum movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Anand Movie Review

 ANAND  NAME OF MOVI E -Anand  NATURE OF MOVIE-Drama emotional  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mere pass kush rahne ke liye kya hai.  DIRECTED BY- Hrishikesh Mukherjee  STARRING-   Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Sumita Sanyal  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Bilkul dekhani chaheye aapko yeh movie dekh ke yeh pata chalega ki kuch log ase hote hai life mai jo har time positive rahte hai chahe koi bhi situation kyu na ho.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai anand nam ke ek aadmi ke bare mai bataya gaya hai jo ki life ko bahut hi positive tareke se dekhta hai.Anand ko ek bimari ho jati hai jis ka koi ilaz nahi hota,to wo baki bachi hue zindagi mumbai mai bitana chahta hai,isliye wo apne doctor dost ke pass aa jata hai or wahi apni bachi kuchi life enjoy karta hai.Rajesh ji(anand) kafi mazakiya kism ke aadmi hote hai wo jis kisi se bhi ek bar milte hai wo unka dost ban jata hai.Unko pata hota hai ki unki bimari ka ko