Skip to main content

Manjhi movie Review

MANJHI THE MOUNTAIN MAN

  • NAME OF MOVIE-Manjhi 
  • NATURE OF MOVIE-Motivational 
  • MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko koi asa kam karna ho jo namumkin lage 
  • DIRECTED BY-Ketan mehta
  • STARRING-Nawazuddin Siddiqu ,Radika Apte
  • KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Agar aap ek premi ka pyar uska lagaw apni patni ke liye kitna tha or wo kya kar gaya apni patni ke liye asa kuch dekhna chahate hai to jarur dekhke. 

  • BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Yeh Movie Dashrath Manjhi ke jivan par aadharit ek sachi ghatana hai.Jinko "Mountain man"ke nam se bhi jana jata hai.Wo ek garib labourer the Bihar ke ek gaav mai.Unhone pahar todke rasta bana diya.Log pyar mai kehte yeh kar dunga wo la dunga par inke samne sare aashiq fikee lagte hai.Inhone 22 sal laga diye rasta banane mai. Ab aap soch rahe honge asa kyu kiya inhone to dosto inki patni ji jab inke liye khana leke ja rahi thi to wo pahar se gir gayi thi.Rasta na hone ki waja se unki patni ji ko pahar par karna padta tha.To Dasrath ji ne apni patni ji ke marne ke baad apna badla ya keh sakte hai ki koi or asi ghatna se na jujhe isliye inhone pahar kaatne ka majbut irada kar liya.Phir kya tha unhone na din dekha na rat  na garmi na sardi cheeni hatoda leke subha se shyam tak pahad todne mai lag gaye.Unko kai logo ne kaha ki pagal ho gaya hai konsa kam kar raha hai yeh sab faltu ka par wo apne irade par kayam rahe or unhone 22 saal bad wo kar dhikhaya jo log soch bhi nahi sakte the. 
  • BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Bhagwan ke bharose mat bethiye kya pata bhagwan hamare bharose betha ho.
  • 2.Jab tak todenge nahi tab tak chhodenge nahi. 
  • MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Jo kam karne ki thaan lo to use kiye bina mat ruko chahe kitna hi samye lag jaye. 
  •  KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha bilkul ho sakta hai or hua hai yeh real story hai.Kyu ki pyar mai bahut kuch karne ki takat hoti hai.


  • MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Dosto mujhe yeh movie kafi jayda achi lagi acting kafi achi hai bahut hi real laga dekh ke motivation ka to jawab hi nahi.Baki Nawazuddin ji ne or Radhika ji ne jo acting ki hai kafi pasand aai mujhe ek dum real lagi acting.Mai yeh jarur kahuga ki aap is movie ko dekhe jis se aapko kuch kar gujarne ki takat aa jayegi.

  • KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Bilkul ban ni chahiye hamare bich kai ase log hote hai jo wo sab kar jate hai jo hume pata hi nahi hota movie ke madhyam se hame ase mahan logo ke bare mai jaan ne ka or sikhne ka moka milta hai. 

  • AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA
 THANKS FOR READING..........
Agar aapko Manjhi movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Anand Movie Review

 ANAND  NAME OF MOVI E -Anand  NATURE OF MOVIE-Drama emotional  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mere pass kush rahne ke liye kya hai.  DIRECTED BY- Hrishikesh Mukherjee  STARRING-   Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Sumita Sanyal  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Bilkul dekhani chaheye aapko yeh movie dekh ke yeh pata chalega ki kuch log ase hote hai life mai jo har time positive rahte hai chahe koi bhi situation kyu na ho.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai anand nam ke ek aadmi ke bare mai bataya gaya hai jo ki life ko bahut hi positive tareke se dekhta hai.Anand ko ek bimari ho jati hai jis ka koi ilaz nahi hota,to wo baki bachi hue zindagi mumbai mai bitana chahta hai,isliye wo apne doctor dost ke pass aa jata hai or wahi apni bachi kuchi life enjoy karta hai.Rajesh ji(anand) kafi mazakiya kism ke aadmi hote hai wo jis kisi se bhi ek bar milte hai wo unka dost ban jata hai.Unko pata hota hai ki unki bimari ka ko