Skip to main content

Pk Movie Review

PK


NAME OF MOVIE-Pk

NATURE OF MOVIE-Comedy with social message.

MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aap bina jane kisi baba ya or kisi pe bharosa karte hai chahe wo galat hi kyu na ho.

DIRECTED BY-Rajkumar Hirani

STARRING-Aamir khan,Anushka sharma,Sushant singh Rajput,Boman irani,Saurabh shukla,Sanjay Dutt.

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha aapko dekhna chaheye ki hamare samaajh mai aaj bhi kai tarike ke andhviswas ke karan logo ko dig bhramit kiya ja raha hai.Kuch log apne aapko bhagwan ka manager hi samjhte hai.


BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki starting ek alien ke earth pe aane se hoti hai wo uske pass ek remote hota hai apne spaceship ka jo ki earth pe aate hi chori ho jata hai.To puri movie mai aamir khan ji (alien)apne remote ko dhundhane mai lag jate hai taki wo wapis apne planet par ja sake.Is bich unko alag alag jaga jana padta hai unke pass asi shakti hoti hai jis se wo kisi bhi aadmi ko chune se uski bhasa or baki vichar sab jan lete hai.Unko kafi confusion ho jata hai kyuki wo jis jaga aate hai matlab ki india mai waha kafi dharam ke log rahte hai to wo confuse ho jate hai sabka alag alag rahan sahan kapde dekh ke.Unko kafi aajeb lagta hia yaha aake kyuki yaha sab log jhoot bolke apna kam nikal rahe hai par unke planet par koi jhoot nahi bolta.Unhone kafi comedy ke sath alag alag harkate karte hue bataya hai ki aap kisi bhi aadmi par aankh band karke mat bharosa karo wo god bhagwan ka nam leke bus apna hi fayda kar raha hai samaajh ka nahi.Isi tareke se wo last mai aapna remote pa hi lete hai in sab chezo ke bich mai unhe earth pe kuch cheze achi lagti hai shayad unhe anuskha ji se pyar ho jata hai.Movie kafi comedy hai.

BEST DIALOGUES FROM MOVIE-1.Humra gola par log jhoot nahi bolta hai
2.Kaun Hindu, kaun Musalman ... thappa kidhar hai dikha ... ye farak bhagwan nahi tum log banaya hai ... aur yahi is gola ka sabse danger wrong number hai
3.Bhagwan se baat kare ka communication system ye gola ka ... total lul ho chuka hai


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Hame is movie ko dekh ke yahi sikhne ko milta hai ki hame blindly kisi pe bhi viswas nahi karna chaheye.Log aapko dharm ka naam bhagwan ka nam deke kuch bhi keh de or aap use bina soche samjhe man le jo ki galat hai.Dharam jati yeh sab hum logo ni hi banai hai is earth pe.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Alien ka to pata nahi ki earth pe aaye ya nahi par dharam jati or baki sab chezo ke waja se jo logo mai dar,viswas dikhaya gaya hai wo sahi hai.Kafi had tak asa abhi chal raha hai hamare samaajh mai.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh movie dekh ke kafi hasi aayi or jo cheze dikhayi gayi hai wo kafi had tak sahi hai.Aajkal log dusro ko bhataka rahe hai koi dharam ka nam leke bhagwan ka nam leke jo ki galat bat hai.Shardha honi chaheye par andhshardha nahi.Kyuki bhagwan god alhaa manawta ki bhalai hi chahate hai.


KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha bilkul ban ni chaheye taki logo ko pata chale ki kis parkar kuch log bhagwan ka naam leke bahut sari galat cheze karte hai or samaajh ko bhataka rahe hai.

AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Pk Movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review

MATRUBHOOMI: A NATION WITHOUT  WOMEN   NAME OF MOVI E -Matrubhoomi: A Nation Without Women movie   NATURE OF MOVIE-Very hearth touching  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH  mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.  DIRECTED BY-Manish Jha  STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talas