Skip to main content

Dangal Movie Review

DANGAL



NAME OF MOVIE-Dangal

NATURE OF MOVIE-Wrestling Inspirational

MOOD TO WATCH THIS MOVIE--Jab aap yeh sochte hai ki ladkiya wo kam nahi kar sakti jo ladke kar sakte hai.

DIRECTED BY-Nitesh Tiwari

STARRING-Aamir Khan, Sakshi Tanwar, Fatima Sana Shaikh

KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Agar aapko yeh lagta hai ki ladikya sirf ghar ka kam shadi sirf yahi tak semit hai to yeh movie dekh ke aap jan jayege ki ladikya bhi ladko se kisi chez mai kam nahi hai bhale hi wo kushti ka khel hi kyu na ho.

BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Yeh movie ek sachi ghatna par aadharit hai jis mai Mahavir phogat ji ke jivan ke bare mai bataya gaya hai ki kis tarha unko Gold medal lane ki icha thi apne bete se par unko beta nahi hua ladkiya hi hue.Phir unhone socha Gold medal to gold medal hota hai chahe ladka laye chahe ladki.So unhone apni 2 betiyo ko khusti sikhana chalu kiya .Jiasa ki aap sab jante hai ki hamare samaaj mai ladkiyo ko kuch kam karne tak hi samjha jata hai ki use khana banana aaye ghar ka kam yeh sab to phir Aamir khan( Mahavir ji) ji ne in sabse hat kar apni ladkiyo ko ladke jaisa socha unka sochna tha ki ladkiya bhi wrestling mai ja sakti hai.To is movie mai aamir khan ne kis tarike se apni bachhiyo ko train kiya or samaaj mai fehle miconsumption ko dur kiya ki ladkiya kisi ke kam nahi chahe koi bhi field ho.Is movie mai yahi dekhaya gaya hai ki unhone bahut mahant karwai apni bachiyo se jis karan unki bachi bhi pareshan hui thi kyuki wo sochti thi ki unke papa unse kya karwa rahe hai par baad mai wo sab samjh gayi.To is movie mai yahi sab dikhaya gaya hai ki kis prakar aamir khan ne samaaj or sabko bhul ke apna sapna pura karwaya.Apko is movie mai haryana ki bhasa sun ne ko milege or pahalwal bhi dekhe ge.




BEST DIALOGUES FROM MOVIE-
1.Agar silver jeeti toh aaj nahi toh kal log tanne bhool javenge ... gold jeeti toh misaal ban javegi ... aur misaalein di jaati hai beta, bhooli nahi jaati.
2.Gold toh gold hota hai ... chhora lave ya chhori


MESSAGE FOR US FROM THIS MOVIE-Is Movie is hame yah sikhne ko milta hai ki hume ladkiyo ko ladko se kam nahi samjhna chaheye.Ladikya wo sare kam kar sakti hai jo ladke kar sakte hai.

KYA ASA BHI HO SAKTA HAI IS DUNIYA MAI-Ha yeh ek sachi ghatna par aadharit hai or sahi mai asa hua hai.In ladkiyo ne sahi mai asa kiya hai wrestling mai.


MERA APNA VICHAR MOVIE DEKHNE KE BAAD-Mujhe yeh dekh ke kafi acha laga ki aamir khan ji ne gold medal ko mahatav diya na ki is bat pe ki chahe ladka laye ya ladki.Hame aapne samaaj mai ladikyo ko har kam karne ki aajadi deni chahiye.Aap yeh Movie dekhe ladkiya to ek bar jarur dekhe motivation melega.

KYA ASI MOVIE BAN NI CHAHIYE AAGE BHI-Ha bikul ban ni chaheye in movie se hamare samaaj ke logo ko kafi acha message milta hi ki ladikya bhi ladko se kam nahi chahe Dangal hi kyu na ho.


AAP KYA SOCHTE HAI APNI RAI COMMENTS PE    BATAYE BAHUT KUSHI HOGI DEKH KE KI AAPNE KYA SIKHA.

THANKS FOR READING..........

 Agar aapko Dangal Movie Review acha laga ho or aap chahate hai ki kisi ko bataye is Moive ke bare mai to SHARE kare……

Comments

Popular posts from this blog

Taare Zameen par Movie Review

TAREE ZAMEEN PAR  NAME OF MOVI E -Taree zameen par  NATURE OF MOVIE-Drama emotional    MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko lagta hai ki aapka bacha padhai mai kamjoor hai wo jaan buch ke padhai nahi karta.Apko pata hona chaheye as a child bacho ko padhai mai kyu problem hoti hai.  DIRECTED BY-Aamir Khan  STARRING-Darsheel safary,Aamir khan,Tisca chopra,Vipin sharma,Sachet Engineer,Tanay chheda  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Ha as a parent aapko yeh movie jarur dekhani chaheye taki aap samajh sake ki aapka bacha sahi mai padhai nahi kar raha ya use koi dekat aa rahi hai kisi chez mai.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai ek ase bache ko dekhaya gaya hai jo sab chezo mai kamjoor hota hai padhai mai khel kud mai sab mai.Darsal us bache ki galti nahi thi usko koi alphabet ho ya maths ka koi number hi kyu na ho uski samajh mai hi nahi aate the,ise waja se uske teacher bar bar uske parents ko bulate or uski shikayat karte.Us ladke ka

Toilet Movie Review

TOILET:EK PREM KATHA NAME OF MOVIE -Toilet                                                       NATURE OF MOVIE- Social message                                         MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lage ki mujhe samaj ke logo ko thoda samjhana chaheye  swachta ke prati.                                                                                               DIRECTED BY-Narayan singh                                                     STARRING-Akshay kumar,Bhumi Pednekar                                BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie mai basically yeh dikhaya gaya hai ki gav mai aaj bhi log khule mai soch karte hai.Un logo ko yeh sab bura nahi lagta or na koi us or jayda dhyan deta hai kyuki un logo ke liye yeh koi nai bat nahi thi wo salo se karte aa rahe the yeh sab.To aap soch rahe honge phir asa kya hua ki movie banani padi to bat asi hai ki hamare is movie ke hero yani Akshay ji ko ek ladki ji se prem ho jata hai to phir wo unse shadi karna chahat

Matrubhoomi: A Nation Without Women Movie Review

MATRUBHOOMI: A NATION WITHOUT  WOMEN   NAME OF MOVI E -Matrubhoomi: A Nation Without Women movie   NATURE OF MOVIE-Very hearth touching  MOOD TO WATCH THIS MOVIE-Jab aapko asa lagta hai ki orato ki is samaajH  mai koi jarurat nahi hai jo kuch hai bus wo aadmi hi hai.  DIRECTED BY-Manish Jha  STARRING-Tulip Joshi,Sudhir Pandey,Piyush Mishra,Sushant singh,Aditya Srivastava  KYA MAI YEH MOVIE DEKHU YA NAHI-Apko jarur yeh movie dekhni chaheye is se kam se kam aapko yeh to pata chal hi jayega ki "A Nation without women "aakhir hota kaisa hai.Bina mahilawo ke kase samaajh chalta hai dekheye.  BRIEF INTRODUCTION OF MOVIE-Is movie ki suruwat mai yeh dikhaya gaya hai ki kis parkar ek ladki ka janam hote hi use mar diya jata hai.Yeh kahani ek gaav ki hai jaha log ladki hote hi use mar dete hai,jis waja se us gaav mai ladkiya dekhne ko bhi nahi milte.Sab javan log or kafi umar daraj wale log bina shadi ke bethe hue hai sab ladki ki talas